Jhootha Hi Sahi – Song Lyrics

Jhootha-Hi-Sahi-310x450You can listen to and buy the soundtrack here.

Director: Abbas Tyrewala

Music: A R Rahman

Lyrics: Abbas Tyrewala

Cry Cry – Rashid Ali, Shreya Ghoshal
(Rashid)
Rote kai ko hum.. hey.. rote kai ko hum
Hona hai jo ho.. sad hote kai ko hum

Cry cry itna cry karte hai kai ko
Itna darte hai kai ko.. pal pal marte kai ko
Why why aisa why waisa kyun hota
Yun hota to kya hota.. jo hota hai wo hota
Fly fly baby fly dekhein aa ud ke
Dekhein baadal se jud ke
Dekhein phir na mud mud ke
Rote kai ko hum.. hey.. rote kai ko hum
Hona hai jo ho.. sad hote kai ko hum
Haan.. raaton ko na sote kai ko..
Cry cry itna cry karte hai kai ko
Itna darte hai kai ko.. pal pal marte kai ko

Chaar pal ka hai.. saanson ka kissa
Kitna hai hissa isme.. aansuon ka.. soch lo tum
Bachpan beeta ek.. ek boodha sa pal..
Kisne dekha kal to is.. pal ki keemat.. jod lo tum

Rote kai ko hum.. hey.. rote kai ko hum
Hona hai jo ho.. sad hote kai ko hum
Haan.. raaton ko na sote kai ko..

(Shreya)
Baa..tein.. teri theek lagti hai
Raa..tein.. kyun hamaare jagti hain..
Haalaa..tein hum kyun na maane beeti baaton ko
Bhooloon main to mujhko lagaana tu ek chaanta
Chubh jaaye to kheench lena kaanta
No no no no no (Rashid)
Poochhoon main jo tujhse kabhi ke kyun yun daanta
Dena phir se ek aur chaanta
kabhi nahi.. kabhi nahi (Rashid)

(Shreya)

Rote kai ko hum.. hey.. rote kai ko hum
Hona hai jo ho.. sad hote kai ko hum
Haan.. raaton ko na sote kai ko..
(Shreya and Rashid)
Cry cry itna cry karte hai kai ko
Itna darte hai kai ko..
(Shreya)
Pal pal marte kai ko
(Shreya and Rashid)
Why why aisa why waisa kyun hota
Yun hota to kya hota..
(Shreya)
Jo hota hai wo hota
Fly fly baby fly dekhein aa ud ke
Dekhein baadal se jud ke
Dekhein phir na mud mud ke
(Shreya and Rashid)
Hmm.. hmm..
Cry cry.. cry cry..

Maiyya Yashodha – Javed Ali, Chinmayi

(Javed and Chinmayi)
Natkhat natkhat jamuna ke tath par
Kuch to churaye hai maiyya
Dil churaye neend churaye chain churaye hai maiyya
Kaise main jaaoon ghar apne sab laaj sharam main chhodi re
Kaise kahun kis natkhat ne kiya maakhan chori re
(Chinmayi)
Maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul par
Maakhan.. haan koi.. re maakhan chura le gaya
Ho maiyya yashoda kaise jaaun ghar jamuna ke pul par
Maakhan.. haan koi.. re maakhan chura le gaya
Mori baanh mode (natkhat re)
Aur dil ko jode (natkhat re)
Mori gagri phooti (natkhat re)
Main mauj se chhooti (natkhat re)
Mori thaame kalaai us kinare le gaya
(Javed)
Ho maiya yashoda sach kehta hoon main jamuna ke pul par
Maakhan ki gagri.. se maakhan bachane gaya
(Chinmayi)
Ho maiya yashoda mori gagri se jamuna ke pul par
Maakhan.. haan koi.. re maakhan chura le gaya

(Javed)
Ho suna tha ek din maine jamuna tath par chalte chalte
Kisi gopi ko baith akele rote raina dhalte
Maine socha ke meri maiyya se main kya bolunga
Kaahe na roka us roti goriya ke dil ko jalte
Haan maakhan to churaya.. par usko bhi sikhaaya
Ke tu bhi to thoda sa chakh le bhai..
Ho.. maai hum dono phir jo baithe us jamuna ke pul par
Maakhan.. hum milke.. re maakhan chata ho gaya
(Chinmayi)

Ho.. maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul par
Maakhan.. haan koi.. re maakhan chura le gaya

(A mindblowing sitar interlude by Asad Khan famous for Mausam and Escape from Slumdog… Thought this had to be credited for its awesomeness. 🙂 )

(Chinmayi)

Ho mahi mohe laaj aave kaahe main ro ro karti thi
Koi maakhan chori main baithke bas aahen bharti thi
Phir tere natkhat ne ek din mohe ye raaz bataya
Ho.. phir tere natkhat ne ek din mohe ye raaz bataya
Chori hota tha maakhan kyun ke choron se darrti thi
Jo maakhan jam ke khaaye to kya koi churaaye
To chakh le aur chakha le thoda maai
Ho.. maayi tore natkhat ko maine hi jamuna ke pul par
Maakhan.. khilaya.. re maakhan mera ho gaya
(Javed)
Maiyya yashoda sach kehta hoon main jamuna ke pul par
Maakhan.. haan gori.. ko maakhan khilane gaya

(Javed and Chinmayi)
Natkhat natkhat jamuna ke tath par
Kuch to churaye hai maiyya
Dil churaye neend churaye chain churaye hai maiyya
Kaise main jaaoon ghar apne sab laaj sharam main chhodi re
Kaise kahun kis natkhat ne kiya maakhan chori re
(Javed)
Ho.. mayya yashoda.. ho mayya yashoda
(Chinmayi)
ho.. mayya yashoda mori mayya yashoda mori
(Javed)
Maiya yashoda sach kehta hoon main jamuna ke pul par
Maakhan ki gagri.. se maakhan bachane gaya
(Javed and Chinmayi)
Natkhat natkhat jamuna ke tath par (ho maiyya yashoda)
Natkhat natkhat jamuna ke tath par (ho maiyya yashoda)
Natkhat natkhat jamuna ke tath par
Kuch to churaye hai maiyya (ho mayya yashoda interspersed)
Dil churaye neend churaye chain churaye hai maiyya
Kaise main jaaoon ghar apne sab laaj sharam main chhodi re
Kaise kahun kis natkhat ne kiya maakhan chori re

Hello Hello – Karthik

Hello hello.. hello hello
Is andheri kaali raat mein koi
Sune toh sunaye haale-e-dil behaal zindagi
Hello hello.. hello hello
Koi jawaab do na.. jeeno ko khwaab do na
Ek dost ka chehra.. ya phir naqaab do na
Hello hello.. hello hello

Telephone ki.. is dor se.. (bandhi meri zindagi)
Koi khol do.. bas tod do.. (main choot jaaoon abhi)
Mujhe chod do.. mujhe thaam lo
Kho jaane do.. mera naam lo
Sab theek hai.. ho jayega
Is jhoot se ab kaam lo

Hello hello.. hello hello
Is andheri kaali raat mein koi
Sune toh sunaye haale-e-dil behaal zindagi
Hello hello

Kaante ghadi ke chub rahe (kaatil hai ye andhera)
Is se bache toh phir dikhe (shaayad naya savera)
Mujhse zara.. baatein karo
Halke zara.. yaadein karo
Suraj ki pehli.. kiranon se
Meri zindagi ko bharo..

Hello hello.. hello hello
Koi jawaab do na.. jeeno ko khwaab do na
Ek dost ka chehra.. ya phir naqaab do na
Hello hello.. hello hello

Do Nishaniyan – Sonu Niigaam

Ek.. dor se bandhi kaise do kahaaniyaan
Ek.. taar se jud gayi kaise ye.. do zindaganiyaan
Is phone ke saaz par meri aawaz bhar
Mujhpe hasti hain khamoshiyaan..

Mere chehre ki do nishaniyan (4)

Kiski nawaazish hui rookhi si zindagi par
Halki si baarish hui sookhi si zindagi par..
Hai khauf ke naa chura le koi kal
Mere aasmaan se ye chori ke baadal
Churaye sau meherbaniyaan
Mere chehre ki do nishaniyan

Maana ke naazil nahi hona tha ye farishta
Maana ke haasil na hona tha humko ye rishta
Lage khoobsurat mujhe ab khuda tu
Farishte se mere na karna juda tu
Mita de ye badghumaniyaan
Mere chehre ki do nishaniyan
Ek.. dor se bandhi kaise do kahaaniyaan
Ek.. taar se jud gayi kaise ye.. do zindaganiyaan
Is phone ke saaz par meri aawaz bhar
Mujhpe hasti hain khamoshiyaan..

Mere chehre ki do nishaniyan (4)

Do Nishaniyaan ( Heartbreak Reprise) – Sonu Niigaam

Anjaane raahon mein benaam yaadon ka pehra
Anjaan saa aayine mein yeh kiska hai chehra (2)
Naa aarzoo naa hi haq raahaton ka
Main kaatil hi kab tha teri chaahaton ka
Hai jaayaz yeh.. tanhaayiyaan
Mere chehre ki do nishaniyaan

Mere chehre ki do nishaniyaan  (2)
(Humming)

Pam Pa Ra – Shreya Ghoshal

(Humming)
Haan ek ajnabi se maine kal ki raat saari baatein.. ki
Jaane kitni kitni saari haal-e-..dil bhi suna diya
Haan us ajnabi ne jaane aisa kya kaha ke sunke mujhko
Jaane aisa kyun laga ke dhun ko.. koi gunguna gaya

Pam pam pa ra pa ra… pa ra ra pam pa ra (4)

Kaun tujh.. ko tokta hai.. tu hi sab.. ko rokta hai
Baaki sab pam pa ra ra gaaye
Bholepan ki.. dekh zara.. chun le saa..thi ek zara
Mil ke jo pam pa ra ra gaaye
Leave a bit..give a bit.. shake away a bit now
Leave a bit..give a bit.. shake away a bit now
Lets save a bit..leave a bit..make a hit
Lets save a bit..leave a bit..make a hit

Pam pam pa ra pa ra… pa ra ra pam pa ra (2)

Haan ek ajnabi se maine kal ki raat saari baatein.. ki
Jaane kitni kitni saari haal-e-..dil bhi suna diya
Haan us ajnabi ne jaane aisa kya kaha ke sunke mujhko
Jaane aisa kyun laga ke dhun ko.. koi gunguna gaya

Dhoop se.. aan..khein chupaata
Baarishon.. mein.. khol chaatha
Sun hawa pam pa ra ra gaaye
Darwaa..ze.. tod do tum
Dil ki khid..ki.. khol do tum
Aasmaan pam pa ra ra gaaye
Leave a bit..give a bit.. shake away a bit now
Leave a bit..give a bit.. shake away a bit now
Lets save a bit..leave a bit..make a hit
Lets save a bit..leave a bit..make a hit

Pam pam pa ra pa ra… pa ra ra pam pa ra (3)

I’ve Been Waiting – Vijay Yesudas

(Humming)
I’ve been waiting for the moonlight
I’ve been waiting for the moonlit sky.. all night
Stranger in the moonlight
I’ve been waiting for a lifetime.. for you

Kabhi.. to aaye.. dabe paaon se tu.. mere khwaabon mein
Hey you.. call me closer.. closer to you
Itne paas ke main.. ban jaaoon teri khushboo
I’ve been waiting.. waiting waiting
For the moonlight.. for you..

Jaan haari.. dil haare
Lage mujhe jeetna ve.. agan jo laagi
Har din ko.. nit rain jalaave
To bhi to aave na.. kaise rab jaane
Ek aanch bhi.. rahe sheetal si meri rooh
I’ve been waiting for the moonlight
I’ve been waiting for the moonlit sky.. all night

Kyun us paar tu.. kyun is kinare
Tanha khada main ye sochta
Hoti agar tu saath ufaq par
Haath tera na chhodta
Kabhi.. na main.. chhodta
I’ve been waiting.. waiting waiting
All my life.. for the moonlit sky
I’ve been waiting for a lifetime.. for you….

Call Me Dil – Rashid Ali

Mera o mera.. chehera.. hua mujhse anjaan kyun
Kaun hoon main.. kaun hoon main o..
Aawaz to hai meri.. par kehta koi aur hai
Jhoothi meri baatein aur sachcha mera pyaar
To kya meri pehchaan hai.. bolo na kya naam hai

Call me dil.. call me baby
Call me jo naam tu.. main wahi (2)
Call me sach to main sachcha
Call me chaahe jhootha.. hi sahi (2)

Ek bas.. dil hai mera.. tujhpe hi.. fida to hai
Kaise ye.. maan le ab.. hone ko.. alvida to hai
Ruk ja.. dil deewani.. poochhe.. dil mera
Kyun ye saza dil to nadan hai

Call me dil.. call me baby
Call me jo naam tu.. main wahi (2)
Call me sach to main sachcha
Call me chaahe jhootha.. hi sahi (2)

Tere.. dil.. se pehle.. tootega dil mera
Hai ye vaada.. hai ye vaada.. o..
Har jhooth aayine mein.. sachcha sa lag raha hai
Dekh le tu bhi to ho aitbaar..
Ke kya meri pehchan hai.. bolo na kya naam hai

Call me dil.. call me baby
Call me jo naam tu.. main wahi (2)
Call me sach to main sachcha
Call me chaahe jhootha.. hi sahi (2)