Ishqiya Lyrics

ishqiyaDirector: Abhishek Chaubey
Producers: Vishal Bhardwaj, Raman Maroo
Music Directors: Vishal Bhardwaj
Lyricists: Gulzar
Label: T-Series

Music review: Here

Dil Toh Bachcha Hai

(Rahat Fateh Ali Khan)

Aisi uljhi nazar unse hatthi nahin
Daant se reshmi dor katthi nahin
Umar kab ki baras ke sufed ho gayi
Kaari badri jawani ki chatathi nahin
Wallah yeh dhadkan badhne lagi hai
Chehre ki rangat udane lagi hai
Dar lagtha hai tanaha sone mein ji
Dil toh bachcha hai ji
Dil toh bachcha hai ji
Thoda kachha hai ji
Haan dil toh bachcha hai ji

Aisi uljhi nazar unse hatthi nahin
Daant se reshmi dor katthi nahin
Umar kab ki baras ke sufed ho gayi
Kaari badri jawani ki chatthi nahin

Kisko pata tha pehalu mein rakha
Dil aisa paaji bhi hoga
Hum toh hamesha samajhate the koi
Hum jaisa haaji hi hoga
Haan yeh zor karein, kitna shor karein
Bewaja baatohn pe aye-weh gaur karein
Dilsa koi kameena nahin
Koi toh rokey, koi toh tohkey
Iss umar mein ab khaogey dhokhe
Dar lagta hai ishq karne mein ji
Dil toh bachcha hai ji
Dil toh bachcha hai ji
Thoda kachha hai ji
Haan dil toh bachcha hai ji

Aisi udhaasi baithi hai dil pe
Hassne se ghabra rahe hain
Saari jawani katra ke kaati
Piri mein takra gaye hain
Dil dhadakta hai toh aise lagta hai woh
Aa raha hai yahin dekhta hi na woh
Prem ki maare kataar re
Tauba ye lamhe katthe nahi kyun
Aankhon se meri hatthe na ye kyun
Dar lagta hai tujhse kehne mein ji

Dil toh bachcha hai ji
Dil toh bachcha hai ji
Thoda kachha hai ji
Haan dil toh bachcha hai ji

Ab Mujhe Koi Lyrics

(Rekha Bhardwaj)

Ab mujhe koi intezaar kahaan
Ab mujhe koi intezaar kahaan
Woh jo behate thhe…
Abshaar kahaan

Ab mujhe koi intezaar kahaan
Ab mujhe koi intezaar kahaan
Woh jo behthe the…
Abshaar kahaan
Ab mujhe koi intezaar kahaan

Aankh ke ek gaon mein
Raat ko khwaab aate thhe

Aankh ke ek gaon mein
Raat ko khwaab aate thhe
Chhuney se behate thhe, bole toh kehte thhe
Udate khwaabon ka aitbaar kahaan

Udate khwaabon ka aitbaar kahaan
Ab mujhe koi intezaar kahaan

Jin dino aap thhe
Aankh mein dhoop thi

Jin dino aap rehte thhe
Aankh mein dhoop rehti thi
Ab toh jaale hi jaale hain
Yeh bhi jaane hi wale hain
Woh jo tha dard ka qaraar kahaan

Woh jo tha dard ka qaraar kahaan
Ab mujhe koi intezaar kahaan
Woh jo behate the abshaar kahaan
Ab mujhe koi intezaar kahaan

Ibn-e-Batuta

Ibn-e-batuta ta ta ta..

Ibn-e-batuta ta ta
Bagal mein joota ta ta
Ibn-e-batuta ta ta
Bagal mein joota ta ta
Pehne toh karta hai churrr
Udh udh aave aa aa, daana chugey aa aa
Udh udh aave aa aa, daana chugey aa aa
Udh jaave chidiya phurrr

Ibn-e-batuta ta ta

Bagal mein joota ta ta
Pehne toh karta hai churrr
Udh udh gaave, daana chugey ye
Udh jaave chidiya phurrr
Phurrrrrrr ..

Ibn-e-batuta

Ibn-e-batuta

Yeehehh Agley mod pe, maut khadi hai
Arey marne ki bhi, kya jaldi hai

Ibn-e-batuta

Agley mod pe, maut khadi hai
Arey marne ki bhi haiii kya jaldi hai
Horn bajake, aawat janme
Hoo durghatna se, der bhali hai
Chal udh ja udh ja phurrr phurrr
Ibn-e-batuta ta ta
Bagal mein joota ta ta
Pehne toh karta hai churrr
Udh udh aave aa aa , daana chugey aa aa
Udh jaave chidiya phurrr

Ibn-eeeeeeeee-batuta

Ibn-eeeeeeeee-batuta

Dono taraf se, bajthi hai ye
Aaye hai zindagi, kya dholak hai

Dono taraf se, bajti hai ye
Aaye hai zindagi, kya dholak hai
Horn bajake, aa bagian mein
Arrey thoda aa gaye, gatirodhak hai
Arrey chal chal chal udh ja udh ja
Phurrr, phurrr, phurrr

Ibn-e-batuta ta ta
(Ibn-e-batuta ta ta)
Bagal mein joota ta ta
(Bagal mein joota ta ta)
Pehne toh karta hai churrr
Udh udh aave aa aa
(Udh udh aave aa aa)
Daana chugey aa aa
Udh jaave chidiya phurrr

Badi Dheere Jali

(Rekha Bhardwaj)

Badi dheere jali raina
Dhuan dhuan naina
Badi dheere jali raina
Dhuan dhuan naina
Raaton se haule haule, khali hai kinare
Akhiyon ne taga taga, bhor utaari
Khari akhiyon se, dhuan jaaye na
Badi dheere jali raina
Dhuan dhuan naina

Palkon pe sapnon ki, agni uthaye
Humne to akhiyon ke, aalne jalaye
Palkon pe sapnon ki, agni uthaye
Humne to akhiyon ke, aalne jalaye
Dard ne kabhi loriyan sunai toh
Dard ne kabhi neend se jagaya re
Bairi akhiyon se na jaaye dhuan jaaye na
Badi dheere jali raina
Dhuan dhuan naina
Badi dheere jali raina
Dhuan dhuan naina

Jalte chiragon mein, neend na aaye
Phoonkon se humne, sab taare bujhaye
Jalte chiragon mein, neend na aaye
Phoonkon se humne sab taare bujhaye
Jaane kya kholi, raat ki pitari se
Khola to koi bhor ki kinari re
Suji akhiyon se, na jaaye dhuan jaaye na
Badi dheere jali raina
Dhuan dhuan naina
Badi dheere jali raina
Dhuan dhuan naina